ye aur baat terii galii me.n na aaye.n ham lekin ye kyaa ki shahar teraa chho.d jaaye.n ham
muddat hu_ii hai kuu-e-butaa.n kii taraf gaye aavaaragii se dil ko kahaa.n tak bachaaye.n ham
shaayad ba_qaid-e-ziist ye saa_at na aa sake tum daastaan-e-shauq suno aur sunaaye.n ham
be_nuur ho chukii hai bahut shahar kii fazaa taariik raasto.n me.n kahii.n kho na jaaye.n ham
us ke ba_gair aaj bahut jii udaas hai 'jalib' chalo kahii.n se use dhuu.ndh laaye.n ham |