mai.n ne dekhaa diivaano.n ko shaam ke baad dhuu.ndh rahe the viiraano.n ko shaam ke baad
taariikii phir saare aib chhupaa legii le aanaa ghar mahamaano.n ko shaam ke baad
mai.n ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa khaalii rakhaa paimaano.n ko shaam ke baad
yaad kare jab mujh ko terii tanhaa_ii dekhaa karanaa gul_daano.n ko shaam ke baad
"farhat" chaa.nd ke khauf se kar letaa huu.n band kamare ke raushan_daano.n ko shaam ke baad |